|
21 July 2010
Urdu Couplet by Priya Chellani. Stand by for more - fiction and short stories. Comments welcome!
Apne dil ki panaahon mein jhaank kar dekha..Yeh gehrayeeyan kya hai? Lafz nahin zaahir kar paate.... Yeh khamoshiyaan kyon hai?
Apne chehre ko aainey mein jab paaon… Yeh parchhaiyaan kya hai? Honth khamosh, aankhen namm... Zubaan ki yeh ruswayeeyan kyon hai? Kyo mein nahin mitta paati .... Mere dil ki yeh andheraiyaan kya hai? Ujala hai jis sey.... .uss roshni se nazron ki yeh dooriyaan kyon hai? Pal kyon ahista beet raha hai........Waqt ke raftaar mein kamiyaan kya hai? Yeh arrson ke guzar jaane mein......aakhir itni deriyaan kyon hai?
Kya mein ruk jaaoon? ya mein jhuk jaaon? is peheli ki lajawaabiyaan kya hai? Pyaar ghat na jaye, mit na jaye, mere khayalaat ki bewakoofiyan kyon hai?
Jo mein paar, nahin kar paa rahi.....Meri yeh majbooriyaan kya hai? Jinn yaadon ke sang beet rahi zindagi ....inn mayoosiyon se bhi ab pyar!.. kyon hai?
Na tum kucch kaho, na mein kuch kahoon, aakhir yeh pareshaaniyaan kya hai? Pyar to dono ne kiya, phir bhi yeh bewafaayain kyon hai?
Pal pal mein sochoon, yeh pyar ki deewangiyaan kya hai? Dil kyon nahin maanta, aakhir yeh naadaniyaan kyon hai? Akeli nahin meri zindagi...phir bhi yeh tanhaayian kya hai? Mein kissi aur ko na bassa sakoon..dil mein jagah ki kamiyaan, kyon hai?? Kyon bhoolakar bhi nahin bhoolti.?.Yaadon ki yeh rawaiyaan kya hai? Chann lamhe jo tum sang beetey...umr bhar ki kahaaniyaan kyon hai?! Maine dil ki panaahon mein jhaank kar dekha..Yeh gehraeeyaan kya hai? Lafz nahin zaahir kar paate.... Yeh khamoshiyaan kyon hai?.......
|